Selasa, 25 November 2008

Aasihq


o shama mujhe phoonk de


Mukesh:- O shamma mujhe phoonk de
mein na mein rahun, tu na tu rahen
yahi ishq ka hai dastoor
yahi ishq ka hai dastoor
Lata:- parwane jaa, hai ajab chalan
yahan jeete ji apanaa milan
Qismat ko nahin manzoor
Qismat ko nahin manzoor

Lata:- shaam se lekar roz sahar tak tere liye mein har raat jali
meine to haaye ye bhi na jaana kab din Dooba,kab raat dhali
phir bhi hai milne se majboor
phir bhi hai milne se majboor

Mukesh:- O shamma mujhe phoonk deĆ¢€¦

Mukesh:- paththar dil hai ye jagwaale,jaane na koi mere dil ki jalan
paththar dil hai ye jagwaale,jaane na koi mere dil ki jalan
jab se janami pyaar ki duniyaa,tujhko hai meri, mujhe teri lagan
tujh bin ye duniyaa hai be-noor
tujh bin ye duniyaa hai be-noor

Lata:- parwane jaa, hai ajab chalan
yahan jeete ji apanaa milan
Qismat ko nahin manzoor
Qismat ko nahin manzoor

Mukesh:-haay ri qismat, andhi qismat dekh saki na meri teri khushi
Lata:- haay ri ulfat,be-bas ulfat ro ke thaki,jal jal ke mari
Both:-dil jo mile kis ka tha kasur
dil jo mile kis ka tha kasur

Mukesh:- O shamma mujhe phoonk de
mein na mein rahun, tu na tu rahen
yahi ishq ka hai dastoor
yahi ishq ka hai dastoor
Lata:- parwane jaa, hai ajab chalan
yahan jeete ji apanaa milan
Qismat ko nahin manzoor
Qismat ko nahin manzoor


Tidak ada komentar: